pahle to jaanchta hun tumhaari nazar ko main phir dekhta hun ghaur se apne jigar ko main ab dil ka gham uthaun ki roun jigar ko main mashkuk pa raha hun kisi ki nazar ko main sun kar nawa-e-ishq-o-mohabbat ki iltija lo chhedta hun aaj rabab-e-asar ko main teri tarah karunga gareban ko chaak-chaak deta hun ye payam tulu-e-sahar ko main jis rahguzar pe ishq ke aansu dhalak pade hasrat se tak raha hun usi rahguzar ko main rahbar bana tha wadi-e-ghurbat mein jo kabhi manzil pe dhundhta hun usi rahbar ko main jis se husul-e-aish-o-masarrat muhaal hai sunta hun fart-e-yas se aisi khabar ko main mana ki apne dil pe mujhe ikhtiyar hai lekin daba ke rakh na sakunga nazar ko main ai tir-e-naz-e-yar tawajjoh se kaam le be-rang pa raha hun nuqush-e-jigar ko main dil ke alawa aur mere pas kuchh nahin ye de ke bhejta hun 'wafa' nama-bar ko main