pahle to kabhi waqt ye hum par nahin aaya hum chalte rahe chalte rahe ghar nahin aaya suraj ki hai be-khabari ki mausam ki shararat kyon saya mere qad ke barabar nahin aaya kya log the basti mein ki jalti rahi basti aur ghar se nikal kar koi bahar nahin aaya kyon walwale mahdud hue lafz-o-bayan tak kyon dar talak koi qad-awar nahin aaya is bar bhi kya yunhi guzar jaega sawan is bar bhi to ped pe patthar nahin aaya