pahle to ye laga mujhe us par gir gai phir yun hua ki mujh pe hi diwar gir gai sincha lahu se us ka dil-e-dagh-dar aur mere badan mein khun ki miqdar gir gai hone lagi hai barq se meri mumasalat kuchh is lihaz se meri raftar gir gai us ki nigah-e-naz se lashkar bhi kat gae phir kya ki mere hath se talwar gir gai phir zindagi ki mauj se kashti hui tabah jab dast-e-na-rasai se patwar gir gai main bhi mere nizam se upar chala gaya wo bhi had-e-nizam se bekar gir gai