us ko firaq-e-yar ka matlab nahin pata matlab use bhi pyar ka matlab nahin pata marna to chahte hain magar kya karen ki jab sanson ko ikhtiyar ka matlab nahin pata mujh ko bhi ab yaqin kisi baat par nahin us ko bhi e'tibar ka matlab nahin pata rakhte ho tum hisab gham-e-zindagi ka jo kya tum ko be-shumar ka matlab nahin pata us se gila karen bhi agar hum to kis liye jis ko ki gham-gusar ka matlab nahin pata go kar raha hai gul ki hifazat shajar magar patjhad ko nau-bahaar ka matlab nahin pata