pahle to zara sa hat ke dekha us shokh se phir lipat ke dekha itni bhi buri na thi jo main ne duniya ko zara sa hat ke dekha dekha use us ka ho ke aur phir kya farq padega kat ke dekha hum jama hue hi ja rahe the aaram mila jo ghat ke dekha bas ek hi khwab tha ki jis ko ta-umr ulat-palat ke dekha wo aur qarib aa gaya tha jab main ne zara simat ke dekha phir dil ne mere gham aur khushi ko rassi ki tarah se bat ke dekha kal dub raha tha 'farhat-ehsas' hum ne bhi tamasha dat ke dekha