pahle wo achanak nazar aaya use dekha phir dil ne kiya aur taqaza use dekha wo husn badi der raha samne mere phir main ne miyan jis tarah chaha use dekha wo pal to meri aankh se jata hi nahin hai ek roz dariche se main jhanka use dekha wo husn ke meyar pe pura tha bahar-taur dekha hi nahin koi bhi jaisa use dekha ek sham wo kuchh aisa khula aisa khula bas jaisa main samajhta tha so waisa use dekha dariya sa samundar mein utarne ko tha betab utra use dekha jo wo duba use dekha chhaya hai khayalon mein 'said' aisa koi shakhs lagta hai ki jis ne mujhe dekha use dekha