sajda-e-yaad mein sar apna jhukaya hua hai hum ne ushshaq ke rutbe ko badhaya hua hai tohmaten hon ya ki patthar hon muqaddar us ka ek diwana tere shahr mein aaya hua hai mera maqsad tha faqat khak udana sahab is liye dasht ko ghar-bar banaya hua hai shaukat-e-majlis-e-hijran ko badhana tha so yar main ne palkon pe tera hijr sajaya hua hai ek pari-zad hai dhadkan ke ilaqe mein muqim jis ne mahaul ko pur-wajd banaya hua hai panw mein dal ke tujh nam ke ghungru hum ne apne andar hi miyan raqs rachaya hua hai yar ki sohbat-e-pur-faiz ki barkat ne 'said' is zamane mein mera kaam chalaya hua hai