pahli nazar mein hi meri nas-nas mein rach gaya kya jaane us ka kaun sa andaz jach gaya khush-fahmiyon ke aaina-khanon mein ab abhi wo kaun hai jo sang-e-malamat se bach gaya tuta kab aaina ye kisi ko khabar nahin lekin shikast-e-aks se ek shor mach gaya sare usul muhr-ba-lab dekhte rahe jab jhut ki panah mein har ek bach gaya ek khurduri fasil-e-shab-e-khwab-zar se phisla jo aaftab to chehra khurach gaya kuchh is qadar shadid tha tufan-e-tez-rau gahre samundaron ka bhi pani ulach gaya jis ki na tab la sake zahrile sanp bhi kis tarah tujh ko 'kaif' wo zahrab pach gaya