pahlu mein dil hai dard ki duniya kahen jise par is qadar ujad ki sahra kahen jise wo roab-e-husn tha ki ban aai na hum se baat yun haal-e-dil kaha ki na kahna kahen jise aankhon se dekhne ko to ab bhi hain dekhte thi aur chiz zauq-e-tamasha kahen jise manind-e-mah us ka falak par dimagh ho jhuton bhi tab-e-husn mein tum sa kahen jise sab aap ke taghaful-o-jaur-o-jafa baja hai ek apna shikwa ki be-ja kahen jise zauq-e-sukhan ke din bhi the shayad wahi ki jab dil mein kasak thi dard-e-tamanna kahen jise 'mahrum' shairon mein bahut namwar nahin itna zarur hai ki sab achchha kahen jise