pahnae-bar-o-bahr ke mahshar se nikal kar dekhun kabhi maujud o mayassar se nikal kar aae koi tufan guzar jae koi sail ek shola-e-be-tab hun patthar se nikal kar aaankhon mein damak utthi hai taswir-e-dar-o-baam ye kaun gaya mere barabar se nikal kar ta-der raha zaiqa-e-marg labon par ek nind ke tute hue manzar se nikal kar har rang mein isbaat-e-safar chahiye 'sarwat' mitti pe dharo panw samundar se nikal kar