tabiron se band qaba-e-khwab khule mujh par mere mustaqbil ke bab khule jis ke hathon baadban ka zor bandha usi hua ke nakhun se girdab khule us ne jab darwaza mujh par band kiya mujh par us ki mahfil ke aadab khule rahi hamesha gahrai par meri nazar bhed samundar ke sab zer-e-ab khule dil ke siwa wo aur kahin rahta hai agar koi to darwaza dar-e-mehrab khule