pahron baitha ye sochta hun main bhi kisi dard ki dawa hun simab nahin magar hun muztar mahshar nahin phir bhi main bapa hun soi hui qaum ka hun rahbar sote mein azan de raha hun pahle guzra hai mujh se farhad yun kah do mujhe ki dusra hun rasta sunsan ho na jae main is liye kante bo raha hun jag bit chuke magar abhi tak khud apni talash mein laga hun kaun us ko sune siwae mere main apni shikast ki sada hun har shakhs mujh ko dekhta hai duniya bhar ka main majra hun koi to mile khushi ka sathi aaine mein muskura raha hun hai chashm-ba-rah kaun mera yarab main kis ka aasra hun jab dekhiye jal raha hun 'arshi' kya main kisi lakh ka diya hun