pahuncha diya umid ko tufan-e-yas tak bujhne na di furaat ne bachchon ki pyas tak pahle to dastaras thi shajar ke libas tak lekin khizan ne noch liya sab ka mas tak chhidka gaya hai zahar darakhton pe is qadar talkhi mein dhal gai hai phalon ki mithas tak is bar bhi libas ko tarsengi chunniyan ye raunaqen hain chehron pe khilti kapas tak kaghaz pe us ki shakl banata hun raat bhar 'nasik' nahin hun jis ka main chehra-shanas tak