zakhm agar gul hai to phir us ka samar bhi hoga hijr ki raat mein poshida qamar bhi hoga hausla dad ke qabil hai yaqinan us ka us ko malum tha dariya mein bhanwar bhi hoga kaun sunta hai yahan past-sadai itni tum agar chikh ke bolo to asar bhi hoga kuchh na kuchh rakht-e-safar pas bacha kar rakhna ek safar aur pas-e-khatm-e-safar bhi hoga mutmain rahiye yunhi khud ko tasalli dije yahi jina yahi jine ka hunar bhi hoga umr guzri hai isi ek tamanna mein 'nadim' mujh se be-ghar ka kahin shahr mein ghar bhi hoga