pai-ba-pai aaina-bandi mere uske darmiyan

pai-ba-pai aaina-bandi mere us ke darmiyan
ek musalsal khud-farebi mere us ke darmiyan

rishta-e-khud-e'timadi mere us ke darmiyan
kab rahi thi khush-gumani mere us ke darmiyan

paida hota kis tarah khud-e'timadi ka sawal
kab rahi thi khush-gumani mere us ke darmiyan

kaun khiffat mol leta pesh-qadmi karta kaun
buzdili phaili hui thi mere us ke darmiyan

ajnabiyyat us ne barti kya bura us ne kiya
kaun si thi aashnai mere us ke darmiyan

zindagi se zindagi tak ek sadi ka fasla
ek diwar-e-khamoshi mere us ke darmiyan

phir bhi hum ek dusre ko tut kar chaha kiye
thi ba-zahir sard-mehri mere us ke darmiyan

ek ghalat-fahmi ke hathon umr bhar hail raha
ek hisar-e-be-niyazi mere us ke darmiyan

hoti 'rahmani' bhala sahab salamat kis tarah
ho saki thi kab safai mere us ke darmiyan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close