usi qatil ka sine mein tere KHanjar raha hoga

usi qatil ka sine mein tere khanjar raha hoga
ki jo chhup kar bahut ehsas ke andar raha hoga

na jaane kis tarah khamosh dariya mein machi halchal
nigahon mein teri shayad koi kankar raha hoga

dar-o-diwar se aansu tapakte hain lahu ban kar
isi kamre mein armanon ka ek bistar raha hoga

kahin simta hai sannate ki chadar odh kar dekho
kabhi basti mein wo bhi khilkhilata ghar raha hoga

tumhein bhi ho gaya dhoka zamin ki in dararon se
samajh baithe hamesha hi ye dil banjar raha hoga

rahun khamosh main phir bhi fasana ban hi jata hai
tere dil mein kisi akhbar ka daftar raha hoga

mujhe shohrat ata ki zahar-e-ruswai ka paikar bhi
mere walid ke bhitar bhi koi shankar raha hoga

teri buniyaad mein shamil kai masum chikhen hain
imarat ban rahi hogi to kya manzar raha hoga

suna hai aap ke dil mein rawan hone lagi nafrat
yaqinan bad-guman 'parimal' koi shair raha hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close