paida hua ye habab kaisa dariya mein hai pech-o-tab kaisa ab fasl-e-junun kahan hai baqi phir dekh raha hun khwab kaisa tha dast-e-hunar mein mom sa jo pathra gaya wo shabab kaisa sim-sim ki sada pe khul raha tha tha halqa-e-dar-e-sarab kaisa ek ek waraq padha hua sa hai nuskha-e-intikhab kaisa partaw se tere wajud mera aaghosh mein le hijab kaisa kya jaane hamari talkh-kaami hai zaiqa-e-sharab kaisa khushbuen tawaf kar rahi thin tha pichhle pahar khitab kaisa qatra qatra chamak raha hai raushan hua zer-e-ab kaisa main apne khilaf ho gaya hun nazil hua ye azab kaisa muddat se hai band qufl-e-abjad ai muhtasibo hisab kaisa sab mauj-e-hawa mein rang us ke ai momino ijtinab kaisa diwar ka bojh baam par hai ye ghar bhi hua kharab kaisa