numu to pahle bhi tha iztirab main ne diya phir us ke zulm-o-sitam ka jawab main ne diya wo ek dubti aawaz-e-baz-gasht ki aa sawal main ne kiya tha jawab main ne diya wo aa raha tha magar main nikal gaya kahin aur so zakhm-e-hijr se badh kar azab main ne diya agarche honton pe pani ki bund bhi nahin thi sulagte lamhon ko ek sail-e-ab main ne diya khula hai pahlu-e-pur-josh be-muhaba aa ek aur mashwara-e-inqilab main ne diya ye mujh se girya-e-bebak kyun nahin hota to apne dard ko khud pech-o-tab main ne diya nakhil-o-kisht ko sairab main nahin karta zamin ko qarz magar be-hisab main ne diya badan khud apni hi tajsim kar nahin pate qarib aaya to aankhon ko khwab main ne diya