paigham-e-rihai diya har chand qaza ne dekha bhi na us samt asiran-e-wafa ne kah dunga jo ki pursish-e-amal khuda ne fursat hi na di kashmakash-e-bim-o-raja ne hai rashk-e-iram wadi-e-pur-khar-e-mohabbat shayad use sincha hai kisi aabla-pa ne ye khufiya-nasibi ki hue aur bhi ghafil naghme ka asar hum pe kiya shor-e-dara ne khakistar-e-dil mein to na tha ek sharar bhi bekar use barbaad kiya mauj-e-saba ne