naghma-zan hai nazar-e-be-awaz kyun mere dil asar-e-be-awaz mere dil se unhen apne dil ki mil rahi hai khabar-e-be-awaz lakh kirnon ki zaban rakhta hai ek nur-e-sahar-e-be-awaz hui barbaad pas-e-be-hunran sai-e-arz-e-hunar-e-be-awaz pae hangama-e-hasti-e-bashar maut hai chaaragar-e-be-awaz hai wo be-panw guzarne ki dalil irtiqa ka safar-e-be-awaz rang laya hai sada ban ke 'saba' mera khun-e-jigar-e-be-awaz