paiham talash-e-dost main karta chala gaya kaunain ki hadon se guzarta chala gaya jitna mazaq-e-ishq sanwarta chala gaya rang-e-tabiat aur nikharta chala gaya ek sang-dil ki dida-dileri to dekhna shikwon ka e'tiraf bhi karta chala gaya be-chaargi to dekhiye majbur-e-shauq ki tohmat muqaddaraat pe dharta chala gaya dete rahe fareb-e-musarrat wo pai-ba-pai main gham ki manzilon se guzarta chala gaya taswir-e-yas-o-gham thi ba-zahir nihan magar har naqsh dil hi dil mein ubharta chala gaya dil mahw-e-iztirab nazar sakit-o-khamosh ye kaun samne se guzarta chala gaya