zamin raushan rahegi aasman raushan rahega meri maujudgi se ye makan raushan rahega mayassar aa gai aasudgi jab is nagar ko chhaton par rang sehnon mein dhuan raushan rahega khulegi ek din sab par haqiqat aaine ki tilism-e-khwab se sara jahan raushan rahega use mahfuz rakhne ki nikalun koi surat ki mere baad ye manzar kahan raushan rahega kisi dil mein utarne ki use taklif kyun den wo sab aankhon mein benam-o-nishan raushan rahega mujhe kya ilm tha mere muqaddar ka sitara jahan tum panw rakkhoge wahan raushan rahega hamare dam se hai tabindagi is qafile ki na hum honge na mir karwan raushan rahega bujha sakta nahin hai koi mere aaine ko andhere mein bhi ye aab-e-rawan raushan rahega khilega nind ke sahra mein jo bhi phul 'sajid' wara-e-lazzat-e-wahm-o-guman raushan rahega