paimana tere lab hain aankhen teri mai-khana jis ne bhi tujhe dekha tera hua diwana is tarah badal jaana ek pal mein tera saqi har shakhs bulata hai kah kar tujhe begana mashhur zamane mein hai dariya-dili teri ek jam de mujh ko bhi ai saqi-e-mastana ai shama teri lau mein wo kaun si khubi hai jo tujh se gale mil kar jal jata hai parwana jo pas hai 'sagar' ke sab kuchh hai tera saqi jaan bhi tera tohfa hai dil bhi tera nazrana