ishq mein kaun kaamyab hua ishq jis ne kiya kharab hua dekhna hongi rakhna-gar nazren mane-e-did agar naqab hua rabt-e-baham ne kar diya mushkil us ka main wo mera jawab hua jal gaya tur ghash hue musa jab tera husn be-naqab hua dekh kar aap mere ashkon ki pani pani dur-e-khush-ab hua aai piri gain umangen sab khatm afsana-e-shabab hua jab chale chaal wo qayamat ki uth ke fitna bhi ham-rikab hua is qadar khugar-e-karam hun main mehr samjha agar itab hua lafz kun ka tha mukhtasar sa lafz dar-haqiqat ye ek kitab hua bahr-e-alam mein sab hain dam-bhar ke gham hue main hua habab hua ab kahan raaten aish ki 'sabir' wo zamana khayal-o-khwab hua