paimane mein wo zahr nahin ghol rahe the mere liye maikhane ka dar khol rahe the main dair mein chup dur se munh dekh raha tha kis tarah bure bol ye but bol rahe the karte the wo baithe hue nakhun se juda gosht kahne ko mere dil ki girah khol rahe the sayyaad ne kab nawak-e-bedad lagaya hum udne ko jab shakh se par tol rahe the ai aankh dur-e-ashk wahi naza mein kaam aae ban kar tere daman mein jo anmol rahe the hum baithe the kis tarah tah-e-shakh fasurda gul hanste the murghan-e-chaman bol rahe the shokhi se qayamat ko wo pasang bana kar hum kitne hain baaton mein hamein tol rahe the the subh ko wo saghar-e-jam dast-e-gada mein aaluda mai-e-shab ko jo kashkol rahe the kuchh chup se hain ab hashr mein aane se kisi ke badh badh ke 'riyaz' aaj bahut bol rahe the