ye bhi sach hai ki nahin hai koi rishta tujh se jitni ummiden hain wabasta hain tanha tujh se hum ne pahli hi nazar mein tujhe pahchan liya muddaton main na hue log shanasa tujh se shab tarik firozan teri khushbu se hui subh ka rang hua aur bhi gahra tujh se be-talluq bhi hain har rang har andaz se hum wo talluq bhi hai qaem jo kabhi tha tujh se ye alag baat zaban sath na de paegi dil ka jo haal hai kahna to padega tujh se tere sine mein bhi ek dagh hai tanhai ka jaanta main to kabhi dur na hota tujh se aankh bhi parda hai takne nahin pati suraj dil bhi diwar hai milne nahin deta tujh se kyun azal se tere hamrah chala aata hai jaane kya chahta hai naqsh-e-kaf-e-pa tujh se ye alag baat tujhe tut ke chaha lekin dil-e-be-maya ne kuchh bhi nahin chaha tujh se raat aai to talab shama nahin ki dil ne dhup nikli hai to saya nahin manga tujh se jis se wabasta hai 'shahzad' muqaddar tera raushni mang raha hai wo sitara tujh se