pain har ek rah-guzar par udasiyan nikli hui hain kab se safar par udasiyan khwabida shahr jagne wala hai laut aao baithi hui hain sham se ghar par udasiyan main khauf se larazta raha padh nahin saka phaili hui thin ek khabar par udasiyan suraj ke hath sabz qabaon tak aa gae ab hain yahan har ek shajar par udasiyan apne bhi khatt-o-khal nigahon mein ab nahin is tarah chha gai hain nazar par udasiyan phaila raha hai kaun kabhi sochta hun main khwabon ke ek ek nagar par udasiyan sab log ban gae hain agar ajnabi to kya chhod aaengi mujhe mere dar par udasiyan