mujhe ab hawa-e-chaman nahin ki qafas mein guna qarar hai ye to pichhle sal jo aai thi wahi chaar din ki bahaar hai hain jigar mein dagh lahu hai dil hain tar aankhen sina figar hai yahi rang-o-bu yahi fasl-e-gul yahi be-kason ki bahaar hai koi hasb-e-haal khitab ho mere dil ko dil na kaha karo use kyun bahaar ka nam do jo khizan nasib-e-bahaar hai hain payam-e-amad-e-sham-e-gham rukh-e-aftab ki zardiyan ye tamam din to kuchh aur tha magar ab charagh-e-mazar hai jo gulon ne chehre pe mal liya jo kali ne mang mein bhar liya wo ghadi bhi aaegi dekhna yahi rang khun-e-bahaar he faqat ek khak ka dher hai ye baghaur dekh rahe ho kya sar-e-lauh likkha hua hai kuchh chalo bhi kisi ka mazar hai jo tere pasine ki bu na de to kuchh aur hai gul-e-tar nahin jo tadap na de tere husn ki wo bahaar nang-e-bahaar hai ye maqam-e-ishq hai kaun sa ye hain kaisi sabr ki manzilen na tadap hai dil mein na dard hai na sukun hai na qarar hai ye sada to hai wahi dukh bhari mere kan jis se hain aashna zara chup raho mujhe sunne do ye to mere dil ki pukar hai tere dil ki bhi na kali khile tere hath tuten khuda kare jise tode leta hai baghban yahi phul jaan-e-bahaar hai ye ajab masarrat-e-ishq hai jo ek ashk ban ke tapak padi ye 'siraj' mera nasib hai ki khushi bhi gham-ba-kanar hai