pakiza-pan mera nasha albela fan mera nasha lafzon ka singhaar karun diwana-pan mera nasha nargis ki aankhon ka nur gulshan gulshan mera nasha jannat ki huren saqi khwab ka aangan mera nasha qaus-e-quzah sahba ki mauj hur ka daman mera nasha barq khule jalwon ki aanch dhani chilman mera nasha sachchai meri sahba zil se an-ban mera nasha main hun sharabi albela ikram-e-zan mera nasha rashk-e-zamin mere mausam lafz ka sawan mera nasha dil ka yahi ek rang 'matin' ujla darpan mera nasha