shua-e-samt-e-safar ko nazar mein rakhna hai talatum aur bhanwar ko nazar mein rakhna hai hain rah mein khas-o-khashak ke pahad to kya tilism-e-barq ko apne hunar mein rakhna hai shiar-e-chob-e-qalam shewa-e-asa-e-kalim shua-e-tur ko tar-e-nazar mein rakhna hai nae tabuk ne an-gin mahaz khole hain abhi gunah-e-qadam apne ghar mein rakhna hai shabon ke pas rahe ghaar-e-saur ka tiryak hira ka nur numud-e-sahar mein rakhna hai phir us ada se khulen zehn-o-dil ke darwaze usi nasim-e-ukhuwwat ko sar mein rakhna hai dubo rahi hai tahi sipiyon ki nadani sadi ke jal ko pal pal nazar mein rakhna hai kabhi hai dhup kabhi fikr chandni hai 'matin' tajalli-zar-e-ghazal ko safar mein rakhna hai