pal-do-pal ko ubhra hi tha dub gaya shor-sharabe mein sannata dub gaya chanchal armanon ka dariya dub gaya reg-zar mein dil ke kya kya dub gaya ishq dosti azm-e-wafa aur sachchai majburi mein har ek jazba dub gaya sahil par to us ke lakhon sathi the jab duba wo shakhs akela dub gaya dur ufuq ke par tilismi wadi mein wo dekho ek aur sitara dub gaya khush-haali ki dhup mein sang sang raha mere zulmat mein wo mera saya dub gaya aankhen thin ya wo madira ka sagar thin kya karta pardesi pyasa dub gaya kar-e-khair mein dhan ko lutaya 'sima' ne kis ne kaha us ka sarmaya dub gaya