pal pal jine ki KHwahish mein karb-e-sham-o-sahar manga

pal pal jine ki khwahish mein karb-e-sham-o-sahar manga
sab the nashat-e-nafa ke pichhe hum ne ranj-e-zarar manga

ab tak jo dastur-e-junun tha hum ne wahi manzar manga
sahra dil ke barabar chaha aur ya aankhon bhar manga

abr ke ehsan se bachna tha dil ko hara bhi rakhna tha
hum ne us paude ki khatir mauja-e-dida-e-tar manga

fasle kuchh qadmon mein samete aankhon mein kuchh dhup ke phul
is ke alawa aur na hum ne kuchh saman-e-safar manga

koi sar-o-saman nahin aur aandhi har din ka mamul
hum ne bhi kya soch samajh kar be-diwar ka ghar manga

soch raha hun apni hasti mein apna kya hissa tha
dil par yaron ka haq thahra aur dushman ne sar manga

khula ki wo bhi teri talab ka ek be-nam tasalsul tha
duniya se jo bhi hum ne haalat ke zer-e-asar manga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close