gardish-e-muqaddar ka silsila jo chal jae dusra itab aae ek bala jo tal jae hujra-e-gareban mein har jawab raushan hai bas zara nigahon ka zawiya badal jae aansuon ke bahne ka ye asar to hota hai gham zara sa dhal jae dil bhi kuchh sambhal jae masalon ki gutthi bhi yun kahan sulajhti hai ek sira jo hath aae dusra nikal jae is ada ko kya kahiye wo pados se aa kar gul nae saja jae chadaren badal jae kya ajab tasawwur hai hum talab ke maron ka hiddat-e-tamanna se aasman pighal jae