pal pal meri KHwahish ko phir angez kiye jae

pal pal meri khwahish ko phir angez kiye jae
mujh ko wo mere zarf mein labrez kiye jae

ye kaun hai jo aag si dahkae lahu mein
andar se meri pyas ko changez kiye jae

sauda hai koi sar mein to phir tutegi zanjir
diwana abhi raqs-e-junun tez kiye jae

goya meri khushbu ko wo pahchan gaya hai
achchha hai ki mujh se abhi parhez kiye jae

pae na meri gard-e-safar bhi ye zamana
raftar bahut hai jo wo mahmez kiye jae

rakkhe yunhi shadab mujhe kisht-e-ghazal mein
mausam tera mitti meri zarkhez kiye jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close