tamam moajaze sari shahadaten le kar main aab o khak se guzra adawaten le kar khud apne harf ke shoale mein jal ke lauta hun main ek safar pe gaya tha hikayaten le kar kashan-kashan lab-e-sahil utar gai mujh mein udas raat samundar ki wusaten le kar had-e-zaman-o-makan se guzar raha hun main khud apne hone na hone ki hairaten le kar abhi to zakhm sile the ki aasman se koi meri taraf chala aaya jarahaten le kar zamin ke logo suno hashr ab na utthega guzar gaya koi sari qayamaten le kar akela shahr mein phirta hun sara din 'sabir' main apne bichhde huon ki shabahaten le kar