pala hun nafrat ki aandhiyon mein magar mohabbat se munh na modun hamesha bazu kushada rakhkhun kabhi murawwat se munh na modun zamane bhar ki tamam talkhi ho chahe mere lahu mein shamil purani nakaamiyon se dar ke nai shararat se munh na modun jabin pe nagah padne wali shikan agar mustaqil hui hai to zer-e-lab muskuraate rahne ki achchhi aadat se munh na modun bura bhala wasta bahar-taur us se kuchh der to raha hai kahin sar-e-rah samna ho to itni shiddat se munh na modun jo dar pe aa hi gai hai 'yasir' to mujh pe lazim hai khair-maqdam hazar be-dil sahi par is khurduri haqiqat se munh na modun