sar jhukae sar-e-mahshar jo gunahgar aae us ke andaz pe rahmat ko na kyun pyar aae jam-o-paimana se mai-khana se kya kaam use ho ke saqi ki nigahon se jo sarshaar aae di sada dil ne zara aur bhi dushwar ho rah raste jab bhi mere samne hamwar aae zindagi kyun na mere maut pe un ki jo log muskuraate hue zindan se sar-e-dar aae main ne tazin-e-chaman ke liye khun apna diya pae phul auron ne hisse mein mere khar aae bankpan apni tabiat ka kabhi kam na hua samne apne koi lakh tarah-dar aae aise jaan-bazon ki ban jae na kyun maut hayat muskuraate hue 'asi' jo sar-e-dar aae