palak jhapakte mein katte hain roz o shab mah o sal jo fasle the man o tu ke darmiyan na rahe wafa rifaqat-e-yak-umr kuchh nahin lekin ye chahta hun ki roun bahut gale mil ke masaf-e-zist mein wo ran pada hai aaj ke din na main tumhaari tamanna hun aur na tum mere rafiq-o-yar kahan ai hijab-e-tanhai bas apne chehre ko takta hun aaina rakh ke hazar shor-e-tamasha ho aankh baz na ho wo khwab dekh ke baitha hun umr bhar ke liye