palak se aa lage kai jugnu jagmagate hue kisi ne dekha hamein aise muskuraate hue main chahta hun ki wo bhi khushi mein shamil ho so rone lagta hun aksar khushi manate hue ajib khauf andhere ka mujh ko tha us raat pasine aa gae mujh ko diya bujhate hue hamein bhi jaise achanak hi ghar ki yaad aai parinde sham ko jab guzre chahchahate hue wo ek rut ka musafir tha rokte bhi kya hum us ko dekh hi sakte the dur jate hue nigah-e-lams se ab us ko dekhna tha hamein so aankh mund li us ke qarib jate hue phir ungliyon se meri risne lag gaya pani safed kaghazon par machhliyan banate hue