jalwa-e-didar to ek baat hai lan-tarani aashiqon ki ghat hai aashna jis ka hai tu aaram-e-jaan wo jahan mein morid-e-afat hai bosa-e-rukh de zakat-e-husn hai ai hasin ye dakhil-e-hasnat hai aaina-khana bana hai mera dil dekh le kya khushnuma miraat hai jaan-o-dil tha nazr teri kar chuka tere aashiq ki yahi auqat hai girya-e-ushshaq par hain khanda-zan kahte hain kya khushnuma barsat hai hijr ki shab hai hujum-e-sad-bala main hun tanha aur khuda ki zat hai khatma-bil-khair ho jae kahin sharm apni ab khuda ke hath hai zindagi hai chaar din ki chandni phir wahi 'saqi' andheri raat hai