palaT jaane ka KHatra ho agar bilkul kinare hi

palat jaane ka khatra ho agar bilkul kinare hi
shikasta naw phir dariya mein koi kyon utare hi

wagarna faisla munsif hamare haq mein jaega
hamara faisla karna bina soche-wichaare hi

jise kahte hain sab duniya ye wo bazar hai jis mein
mohabbat dhundhne wale phirenge mare mare hi

ab aksar nafraton ki aag hi uthti hai dharti se
ab aksar aasman se bhi baraste hain sharare hi

zarurat lab-kushai ki nahin kuchh khas hai is mein
mohabbat mein ziyaada kaam aate hain ishaare hi

dua jab khas koi mangni hogi hamein us waqt
girenge baal palkon se na tutenge sitare hi

mohabbat ki tarah hum se siyasat pesh aati hai
na rakhti hai qarib apne na karti hai kinare hi

khushi ka aasra hoga yahan mushkil se pal-do-pal
kategi umr duniya mein faqat gham ke sahaare hi

mohabbat mein nazar tum par nahin jaegi duniya ki
sabhi ilzam rakkhe jaenge sar par hamare hi

kahan se laenge itna bujhane ke liye pani
zamin par dikhte hain har-su hamein jalte nazare hi

mohabbat bechne niklo faqat is shart par 'balwant'
lagenge hath is byopar mein kewal khasare hi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close