palat ke dida-e-hairan bhi nahin laya main apne sath ye pahchan bhi nahin laya safar mein rakht-e-safar se bhi bojh badhta hai isi liye to main saman bhi nahin laya kahin badal na gaya ho samundaron ka mizaj mah-e-tamam to haijaan bhi nahin laya kisi tarah nahin lagta mere qabile ka jo shakhs khwab mein imkan bhi nahin laya talluqat mein kuchh hain abhi nasheb-o-faraaz magar main zehn mein kuchh than bhi nahin laya ajab sarab-zada tha ufuq mein dubta chand kisi ke chehre pe muskan bhi nahin laya bikhar gaya sar-e-sahra 'kafil' aur main dekh sukut-e-dasht mein tufan bhi nahin laya