suraj bhadke to manzar shadab sulagte hain dhupen jab bhi tez hui hain khwab sulagte hain kab aangan par wasl ka baadal chhaega jaanan sukhe ho kar aankhon ke talab sulagte hain pyar ki barish hoti hai jab khushk chatanon par dil dharti par an-dekhe zahrab sulagte hain raaton ko jab yaadon ki barfab hawaen hon to palkon par ashkon ke guhr-ab sulagte hain jag uthte hain soe hue kirdar kahani ke raat gae jab jhilon par mahtab sulagte hain nafrat se khud apni aag mein jalti hain aankhen pyar se sab shaitanon ke alqab sulagte hain chand-nagar mein yaad aati hai ek dopahar 'kafil' thande thande mausam mein aasab sulagte hain