palat ke jaanib-e-ahl-o-ayal dekhta hun kabhi jab apne lahu mein ubaal dekhta hun hanuz kuchh bhi badalta nazar nahin aata hujum dekhta hun ishtial dekhta hun shikast-o-rekht se mujh ko guzarta hai wahi isi ke chehre pe gard-e-malal dekhta hun sab ek dhund liye phir rahe hain aankhon mein kisi ke chehre pe mazi na haal dekhta hun laga hua hun usi rang ko ubhaarne mein abhi ghazal mein jise khal khal dekhta hun tamam surat-e-haalat inqilabi hai falak shikasta zamin paemal dekhta hun mujhe samet ke rakhta hai kitni der 'talab' kisi ke husn-e-nazar ka kamal dekhta hun