na shahr mein na kisi dasht-e-hu mein khak hue hamare khwab hamare lahu mein khak hue kisi ke hath laga kab wo mahtab-badan kai jiyale wahin justuju mein khak hue dhuan sa uthta hai dil se jo sochta hun kabhi wo kaun the jo meri aarzu mein khak hue the kitne git jo aawaz ko taraste rahe hazar rag rag-e-khush-gulu mein khak hue ab is se achchha-bhala ikhtitam kya hota uthe the main se magar ja ke tu mein khak hue