palken nind se bojhal hain ya ab manzar ki tab nahin kyon in jalti aankhon mein ab rang-birange khwab nahin ek muddat se kis natiq ki nok-e-zaban par atka hun main ek lafz hun goya wo bhi mani se sairab nahin aankhen hain ya khar-e-mughilan chehra hai ya sahra hai lafz bahut nayab hain pyare dard magar nayab nahin meri bala se jhukne walon mein mabud bhi shamil hon lekin mere sajdon mein but-khane ke aadab nahin fitrat ka paighambar kya jaane samjhaute ki baaten dariya mud sakte hain lekin dariya ke sailab nahin aankhen aur chunengi kab tak aakhir manzar ki kirchen mujh mein to ab jaise apni nazron ki bhi tab nahin