palken ujad dil hai bujha ruh so gai roe hue bhi yaro bahut der ho gai ek wo sada thi apne to jine ka hausla is zindagi ke shor mein ab wo bhi kho gai aai to jaise hone laga matla-e-ghazal baithi to jaise nazm ki takmil ho gai kahte the ab na aaenge nazron ke jal mein mauj-e-nasim zehn se har azm dho gai khoe hain us ke sehr mein hi ahl-e-karwan us ki nazar jo waqt-e-safar rang bo gai uf ye dilon mein phaile khalaon ki wusaten kaise kahen khalaon ki taskhir ho gai main hun shikar-e-fitna-e-ehsas-e-rang 'sham' kis tarah ek jism ki taqsim ho gai