saqi-e-gulfam ba-sad ehtimam aa hi gaya naghma bar lab khum ba sar baada ba jam aa hi gaya apni nazron mein nashat-e-jalwa-e-khuban liye khalwati-e-khas su-e-bazm-e-am aa hi gaya meri duniya jagmaga utthi kisi ke nur se mere gardun par mera mah-e-tamam aa hi gaya jhum jhum utthe shajar kaliyon ne aankhen khol din jaanib-e-gulshan koi mast-e-khiram aa hi gaya phir kisi ke samne chashm-e-tamanna jhuk gai shauq ki shokhi mein rang-e-ehtaram aa hi gaya meri shab ab meri shab hai mera baada mere jam wo mera sarw-e-rawan mah-e-tamam aa hi gaya bar-ha aisa hua hai yaad tak dil mein na thi bar-ha masti mein lab par un ka nam aa hi gaya zindagi ke khaka-e-sada ko rangin kar diya husn kaam aae na aae ishq kaam aa hi gaya khul gai thi saf gardun ki haqiqat ai 'majaz' khairiyat guzri ki shahin zer-e-dam aa hi gaya