palken zamin pe apni bichhati hai chandni

palken zamin pe apni bichhati hai chandni
aise mein dil hamara lubhati hai chandni

jab sath chhod deta hai suraj to us ghadi
rasta musafiron ko dikhati hai chandni

wo dekhte hi dekhte aankhon ke shahar mein
har su mohabbaton ko sajati hai chandni

insan ho ya koi darinda zamin par
sae mein apne sab ko bithati hai chandni

har raaz se karaya mujhe us ne aashna
har ek baat mujh ko batati hai chandni

wo bhi hai mubtala-e-mohabbat meri tarah
har raat khud ko khud hi jalati hai chandni

hamrah baadalon ke hain 'bismil' ke dagh-e-dil
apni ziya mein un ko chhupati hai chandni


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close