palkon ke tale jhil chhupae hue hun main han dard ke dariya mein nahae hue hun main aandhi ka ujalon se idhar rag chhida hai aur khwahishon ke dip jalae hue hun main hairan hun ye aaine mein kaun hai mujh sa muddat hui hai khud ko bhulae hue hun main ye khwab ki faslen ye khayalon ke baghiche mausam ki nigahon se bachae hue hun main tufan to dafna liya hai apne labon mein par kuchh hansi ke phul sajae hue hun main